Mera dil ke gulshan ka gosha gosha,
Aaj kal !
Tere ishq ki khushbu se mehakta hai,
Tere husn ki baaton se,
Aaj kal !
Mere ghar ka gosha gosha chehakta hai,
Ruuh ko chune wali teri baaton ka
Aaj kal !
Ek ek lafz samaaton mein gunjta rehta hai.
Tera wajood ek khamoosh kali ki tarah,
Aaj kal !
Dil o demaagh pe chaya tera khumaar sa rehta hai,
Maine socha tha ki milke dil ko chain aayega magar,
Aaj kal !
Dekhta huin jab bhi aayina tera aks nazar aata hai,
Tere tassaur se aankh ka kash kaul bhar aata hai,
Aaj kal !
Faqt tera naam ab qalb e jigar chu jaata hai,
Tere muntazir is dayaar ke dar o diwar,
Aaj kal !
Ab aajao ya nausha rasta teri raah takta rehta hai.